Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name help 
Question koi haram cheez krnay ki saza kia hai ? and zina kia saza kia hai? 
Answer Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1)Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2)zina sai faqr o iflas ata hai 3)zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1)Zina sai Allah naraz hota hai 2)zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.