Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Pregnancy 
Question Assalamwalekum....mera sawal he ki mei 15 din ke hamal se hu aur meri 9 mahine ki beti hai jo opration se huyi he.mere liye iss hamal ko rakhna nuksaandeh he by doctor.aur mei khud iss hamal ko nahi rakh sakti meri kuch pesonal dikkate he..mujhe kuch samajh nahi aa raha mei kya karoon..kaha jaun.mei or mere husband is hamal ko rakhna nahi chahte.kya khuda hame iss ke liye maaf karenge..plzzzzzz khuda ke waste meri help kariye. 
Answer Qarar e nutfa(mani k rehem main thahernay) k baad zaya karna jaiz nahi hai. magar ye khoof ho k hamal ka baqi rakhna aurat ki zindagi k liay nuqsan dah hay tu hamal main agar jan nah perhi ho tu zaya karna jaiz hay, laikin hamal main jan pernay k baad bachay ka zaya kerna jaiz nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 72)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.