Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question mai teen shadi kar chuki houn pehle talaq ke baad dusri aur dusre talaq ke baad tesri kya ye jayaz hai 
Answer 1)Jee haan lakin aurat aik sath 2 (do) merd k nikah me nahi aa sakhti jabke merd aik sath do kar sakhta he. 2)aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hein. Is me do cheezain hein aik talaq ki iddat hoti he aur aik wafat ki iddat hoti he. 1: wafat ki iddat : Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2481) 2 : talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) 3) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.