Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Quran sunnat. tableegi 
Question kiya roze ki halat main biwi k sath humbiztari jaiz hai? or agar aysa ho jaye tu kya kia jaey? 
Answer 1)Agar roza ki halat mai jima kia jae to roza toot jata hai. 2)Ramzan ka roza torne k kaffare k taur per zarori he k aik ghulam azad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay 2 mahine(months) roze rakhe(jis main se 31 rozay lagataar{continue }) ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilay ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal(kaam) anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zarori he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1565-32) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.