Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah sistani 
Question jang-e-khandaq k asbab 0 nataij kya thy surah aihzab ki roshni mai btaye?  
Answer Surah e Ahzab quran majeed ka 33 no ka surah hai jis ki 9 sai 27 tak jang e ahzab ka tazkira hua hai aur isay jang e khandaq bhi kaha jata hai. Is jang ka khulasa ye hai k yahoodio nai mushrikeen ko tayyar kar k aik lashkar tayyar kar dia aur 15 hazar afrad nai mil kar madina par hamla kar dia idhar bani qarizah jin sai Rasool e Khuda s.a.w.w. ka mohidah tha k kisi bhi hamla awar sai muqabila karnay mai aap ka sath dain gay aur mushterka tor par difa karain gay. To unhoonay nai ahad tornay ka ailan kar dia aakhir kar madina ka mohasira ho gya. 27 din tk mohasira raha aur teer andazi ka silsila jari raha phir Rasool s.a.w.w. nai salman farsi k mashwaray sai khandaq khodnay ka hokum dia. Aur hazrat Ali a.s. nai Umar Bin Abdawad ka kam tamam kia aur lashkar e kufr nai farar ikhtiar kai aur musalmano ki izzat reh gae. (Ref : Anwar e Quran pg # 871)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.