Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name aqai haj syed sistani sahb 
Question wo konce namaz thi jo sub se pehle khana e kaba ki taraf rukh kr k parhi gai? 
Answer Islam ki ibteda mai musalman BAIT UL MUQADDAS ki taraf rukh kar k namaz parha kartay thay jo roz e awal sai yahoodio ka qibla tha aur yahoodi in par tanz kartay thay k inhain koi qibla bhi naseeb nahi hua hai laikin maslehat e ILAHI ye hi thi k mushrikeen k muqabilay mai yahoodio ko khush rakha jae. Is k baad jab rasool e akram s.a.w.w. nai hijrat ki aur madina mai islam mustekhm ho gya to aik din NAMAZ E ZOHAR ki 2 rakat k baad hokum e ilahi nazil hua k baqi namaz KHANA KABA ki taraf rukh kar k mukammal ki jae aur is masjid ko MASJIDUL QIBLATAIN kaha jata hai. Qiblay ki tabdeeli ka hokum quran majeed ki surah Baqra surah # 2 ki ayat # 142 mai hua hai. (Ref :Anwarul Quran pg # 77)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.