Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question When exactly Ghusl-e-Janabat becomes wajib for a woman? what is the tariqah? 
Answer b.t. 1)Jo rutoobat chaer chaar ya shehwat angaez tasawwuraat kay waqt Insaan apni SharamGaah main Mehsoos karay wo paak hay aur us say ghusl bhi wajib nahi hota Haan! wo rutubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. 2)Agar koi shakhs jima karey aur azu e tannasil supari ki miqdar tak ya us se ziada ayrat ki faraj me dhakil ho jay to khown ye dhakool faraj me ho ya dubr me ho aur kaown balig ho ya na balig aur khown mani kharig ho ya na ho donoo per ghusl wajib ho ga. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(Ref:Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala No.345 , 348 , 367 , 372) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.