Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunniy 
Question A.A sir meri age 19 sal h ,grmi ki waja sy muj sy aj ka roza bardasht na ho saka,jo akher muj say toth gaya plz kuch batay mujay meri etni hesiyat b nahi k ma kafra ada kar sakon ,or ma kafra ada b karna chahti hon, PLZ kch aesa batay k ALLAH pak muj sy razi ho jay 
Answer Agar rozedar ko itne payas laghe k ise payas se marjane ka khof ho ya ise nuqsan ka andesha ho ya itne sakhti uthani pare jo is k lie na-qabil-e-bardasht ho to itna pani pi saktay hain k in umoor ka khof katam ho jay balke agar mout aur is jise cheeze ka khof ho to pani pina wajib hai. laikin roza batil ho jay ga aur agar ramzan ho to ehtiyat-e-lazim ki bina per zaroori hai k is se ziyada pani na piye aur din k baqi hissay me wo kaam karnay se parhaiz kare jis se roza batil ho jata hai. (Laikin ramzan k bad aghle ramzan se phele is roze ki qaza zarori hai).(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1675) albetta Insan kamzori aur naqahat ki waja se roza nahi chor sakta laikin agar kamzori is had tak ho k umooman bardasht na ho sake to phir roza chorne me koi haraj nahi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1564)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.