Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Asalam alaikum roza ki din husband apni biwi love kary uske nichy fingering se andar bahir kary fluid uske hath me lag jaye kya uska jismm ganda ho gya hain kya wo saf hy ki ganda  hain kya wo pleet hain unka roza hota hain ki nahi ek sawal aur puchna chahta hoon husabnd apni biwi ko fingering kr raha hain husbnd ke haat me fluid laga hoon wo biwi ke leg pe lag gya aur husbnd ke jism me fluid na lagy biwi ke haat se kya wo pleet hain ki nahi agar biwi naha le aur husnd nai uske jism me fluid nai laga aur usny tisue raha kya wo pleet hain ya saaf uske kapry saaf hain ki pleet please mujhy battae ustad jee me bhot parshan ho 
Answer 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k baghair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shehwat angaiz kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay dar mani nikalnay k iraday k bagair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576). 4)wo rutubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay agar is Had tak ho keh usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam taur par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.or isi terah bina ber ehtiyaat e wajib agar hejaan e shewat ki intayha tak bhi nah pohanchay magar paani inta ziyada ho kitna poori rizamandi k mauqay per kharij hota hay.(yani aisi sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per ghusl wajib hoga).(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#114 ).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.