Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name nil 
Question dhod pilany wali maan k rozy k mutalik btaiy. roza raky ya chody? or doran e roza dhood pila skti he kia hukm he ?  
Answer Jo aurat bachay ko doodh pilati ho aur os ka doodh kam ho agar os ka roza rakhna khud is k ya doodh pinay walay bachay k liay muzr ho to os aurat per roza rakhna wajib nahi hai aur zaroori hay k har din k badlay aik mudd ta,aam(food) faqeer ko day aur in rozoo ki qaza kerna zarori hai. Lakin ehtiyaat e wajib ki bina per ye hokum sirf is surat mai hai jab k doodh pilanay ka inhesaar isi aurat par ho, lakin agar bachay ko doodh pilanay ka koi aur tareeqa ho maslan kuch auratain mil kar bachay ko doodh pilaein ya isi doodh pilanay mai feeder (feeding bottle) ki madad bhi lain to aisi surat mai is hokum k sabit honay mai ishkaal hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1700) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.