Answer |
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
Rishtay k lie chand ki 11 sai 20 tak k darmiani jumay ko bad namaz e asr surah e taha surah no20 ki ayat no 131,132 ko likh kar pas rakhain or doh kar pie to shadi ho jae gi. (Ref : Naway e Salaheen pg # 352) 2)Dua e tawassul ko har waqt perh saktay hain, laikin kisi khaas maqsad k lie is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad 2 rakat namaz e hajat ada kernay k baad perh kar dua mangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|