Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question khums kiya hota he or mean kiya he iske plz btadijiye . 
Answer Khums maal ki bachat ka paanchwa hissa, 1/5 ya 20% hota hai). Tajir, dokaan daar, kariger, mulaazmat (job) kernay walay or isi terah dosray kamanay walay hazraat k liay zarori hay k jab say onho nay kaam ya job shoro ki ho, aik saal gurazar jaay, tu jo khuch raqam ya samaan istimaal say bach gaya ho, os ka khumus(paanchwa hissa, 1/5) dain. 2) Zarori hay k (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). mus ko do hisson main taqseem kia jaay.is ka aik hissa saadaat(syed) ka haq hay or zarori hay k kisi syed faqeer ko daya jaay.or dosra hissa imam e zamana(a.s) ka hay jo zarori hay k maujodah zamanay k zindah aalam mujtahid ko dia jaay.mazdeed ye k syed ka haq mujtahid ya oskay wakeel ko dia jasakta hay k wo aap ki taraf say saadaat ko day dain. Is hisab se 1000 rupay per 200 rupay aur 50000 per 10000 rupay khums denaho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1722, 1804) jo shaks kise kaam dhande se kamai na karta ho balke logo ya hokomat ki madad per is ka ghuzara ho ya ise itefaqan kohe nafa hasil ho jaay to jab ise ye nafa mile us waqt se aik saal ghazarne k baad jitney mikdaar is k saal bhar k akrajaat se ziyada ho zaroore hai k us ka khums de .is ahtebaar se har munafe k lye aik alaida saal bhi qarar de sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1735). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.