Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name SISTANI SAHAB 
Question Igar may Wajib ya Kaza Rozay kay doran roza tornay ka irada karta hoon to kia roza sahi hay ya batil. Wassalam.  
Answer 1)Agar kisi moayan wajib roze k bare me maslan ramzan k roze k bare me insaan kashma kash k aalam me ho k apne roze ko batil kare ya na kare ya roze ko batil karne ka irada kare to agar dobara roze ki niyat na kare to is ka roza batil ho jata hai.aur agar dobara roze ki niyat kar le to ehtiyat wajib ye hai k is din ka roza pora kare aur baad me is ki qaza kare. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1551 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 2)Agar koe shaks jo mustahab roza ya wajib roza maslan kaffaray ka roza rakhay hoay ho jis ka waqt moayan nah ho kisi aisay kaam ka qasd karay jo rozay ko batil karta ho ya muzabzab ho k wo aisa kaam karay ya nah karay tu agar wo koe aisa kaam nah karay or wajib rozay main zuhur se pehlay or mustahab rozay main ghoob se pehlay dobara rozay ki niyat ker lay tu os ka roza sahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1552 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.