Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name seestani 
Question Husband n wife dono rozay say hoon .....tu kiya shohar apni bivi say chair chaar ...kissing kar sakta hai?or dosra yay kis aisay mai agar female ko discharge ho tu kiya os pai gusal wajib hai jab k is mai oski marzi bhi shamil na hoo...or intercourse bhi na hoa hoo?or kiya yay roza theek hai? 
Answer 1)Rozay ki halat main mani nikalnay k qasad k bagair insaan ka apni biwi ka bosa lena ya koi shehwat angais kaam karna makrooh he. 2)Agar rozay daar mani nikalnay k iraday k baghair misaal k taur per apni biwi se cheerh chaar ya hansi mazaq karay aur ose itminaan ho k mani kharij nahi ho gi to agarchah mani kharij ho jaay is ka roza sahi he. albatta agar ose etminaan na ho to is surat me jab mani kharij ho gi to is ka roza batil ho jaay ga. 3)Aur agar mani nikalnay k iraday se cheerh chaar ya dil lagi karay laikin is ki mani na niklay to agar dubara rozay ki niyat na karay to is ka roza batil he aur agar dubara rozay ki niyat kar lay to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori he k rozay ko tamaam karay aur is ki qaza bhi baja laye. 4)Jima (intercourse) rozay ko batil kar deta hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1629, 1565-1576, 1565) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.