Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aale Nabi 
Question Can girl from Sadaat family marry a boy from Non Sadaat or Sunni family  
Answer 1)Shia lerki ka sunni lerkay say nikah kerna agar wo naasbi(wo loog jo aaimma a.s bugz or dushmsni ka izhaar karain) nah hoon tu makroh hay or agar naasbi hoon tu on say nikah kerna haram hay. or agar sunni say nikah kernay main gumrahi ka khatra ho tu haram hay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah#215 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 2)Musalmaan merd musalmaan aurat ka kufu(equal) hay or momin merd momin aurat ka kufu(equal) hay. Layhaza arabi ki ghair arabi se shadi ho sakti hay, syed ki ghair syed se ho sakti hay, is terah shareef or aonchay gharano k afraad ki shadi jharho dainay walay afraad se ho sakti hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #221) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.