Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ali sistani. 
Question salam mera sawal ye h k meim apni lover sy boht payar karta ho or larke mujhe payar karte h wo humary rishtidr h larke k ghr waly razi ni ho rahe to us mein galt kis ke h or kia hum 2no bhag k shadi kr sakhte h. Or un k ghr walo ke galte h ya hum 2no ke 
Answer 1)Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah(daimi / mutah) nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day. or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay isi terah agar baap ya dada os merd k sath osay shadi kernay ki ijzat nah daitay hon jo sharan(Islam ki nazar main) or urfan(mea’ashay ki nazar main) os k brabri(equal) ka ho tu ijazat ki zarorat nahi, isi terah baap ya dada maujood nah hon ya kisi doosri wajah say ijazat laina mumkin hi nah ho or lerki ka nikah kerna bohat zarori ho tab hi baap ya dada say ijazat laina lazmi nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342) 2)Jo shaks surae taha surah#20 ko likh kr green reshmi kapray mai lapait kr rakhay aur shadi k iraday sy kisi k paas jaey tu usay na kaam nahi lotna parayga.(ref:dunya-o-akhirat ki 100 pareshanio ka hal,pg#18). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jina e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.