Answer |
Ramzan rehmat aur barkat wala mahina hai jis mai gunah maaf hotay hain aur ye mahina khuda k nazdeek saray mahino sai behr aur afzal hai. is mahinay mai tamam momineen o mominat khuda k mehman hotay hai is mahinay mai sans lena tasbeeh aur sona ibadat ka sawab rakhta hai. is mahinay mai hamain Allah sai oski ibadat karnay ki taufeeq talab karni chaheay quran parhna chaheay aur agar parhna na aata ho to is ko dekhna bhi ibadat ka daarja rakkta hai. aur is ka tarjuma oarhna chaheay. (Ref : mafatihul jian pg # 341)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |