Answer |
1)Faqeer yani wo shakhs jis k pas apnay aur apni family k lie saal bhar k akhrajat na hon wo faqeer hai laikin jis shakhs k pas koi hunar, jaidad ya sarmaya ho jis sai wo apnay saal bhar k akhrajat puray kar sakta ho wo faqeer nahi hai, is k alawa miskeen yani wo shakhs jo faqeer sai bhi ziada tungdast ho.
2)10 cheezain najis hain. 1:paishab 2:pakhana 3:manio 4:murdar 5:khoon 6:dog 7:pig 8:kafir 9:sharab 10:najasat khanay walay haiwan ka pasina.
3)Jumay mai imam k khutbay k doran batain karna makrooh hai laikin agar baton ki wajah sai khutba sunnay mai rukowat ho to ehtiyat ki bina par batain karna jaiz nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1889, 80, 722)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|