Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question ASLAM O ALAKUM KIA BAGHER TAKLET K NAMAZ ,ROZA ,HAJJ ,ZAKET WAGERA SAB KAM JO MANA KIA HAN KO SUB HARAM HO JIN GA ? 
Answer Agar koe mukallaf aik muddat tak kisi ki mujtahid taqleed kiaay baghair aamal baja laata rahe to agar us k aamaal hukame waqae k mutabiq hon ya us mujtahid k fatwe k mutabiq hon jis ki taqleed karna abhi us ki zimmedaari he to wo amaal saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay is k alawa bhi agar wo jaahil kaasir ho or aamaal ka naqs arkaan waghera k aytebaar se na ho to bhi us k aamaal saheeh taswwur kiye jaa’en gay yehi hukm us soorat main bhi hay jab jaahil e mukassir ho or amaal main koe aysa naqs ho jo laa-ilmi ki soorat main maaf ho to jayse buland awaaz se qir’at ki jagaah aa’hista awaaz se qir’at ya bar aks, to bhi us k aamaal saheeh mane jaa’en gay yaahi hukum us soorat main bhi hay jab use yeh maloom na ho k pichhale aamaal kefiyat k etebaar se saheeh thi ya nahi to bhi us k aamaal minhaj main zikr shuda baaz mawarid k alawa saheeh tasw’wur kiye jaa’en gay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 12). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.