Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name khuda ki jhoti kasam  
Question asslam-0-allikum.... sar my bht pareshan hu... aur mujy bar bar bht rona a ra hai... mujy sy khuda ki jhoti kasam khai gy ha.. ya janty huy ky my jhota hu..... mary pas kisi custmer ki aik chez thi my us ki repairing karta hu us my sy aik chez my ny lallach my a kar rakh li aur un ko khrab laga di.... bad my un ko ya pata chala ky un ki ya chez ni hai... magar my un sub ky samny apni bat sy mukkar gya.. aur unho ny sub ky samny mujh sy yu kasam li.... """ky khao us khuda ki kasam.... aur ya ky jo shaks jo tumary samny khary hai ya gawahi de gy.... ky tum ny ya chez ni li hai....""""""" sir pahly to my dar gya magar pher my ny ya kasam utha di ya janty huy ky my jhota hu..... sir ab bar bar mujy wo bat yad a ri hai aur mujy bht rona ata hai..... sir plz mujy is ka hall btai aur koi bi hall.....ta ky my apny khuda pak sy mafi mang sako..... 
Answer Jhooti qasam khana haram or gunah e kabeera hai, lehaza ap pr ab lazim hai k wo chiz jo apne ghasb krli hai wo apne customer ko lota den, or agr wo cheez khatam hochuki hai to uski qeemat use lotaden, or in dono gunahon (Ghasab or jhooti qasam) per Allah se maafi Mange, istighfar ki iska kaffara hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2512-2638). Update on dated 27-07-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.