Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question what time the prayer(magribain) gets qaza? 
Answer : 1)Maghrib aur eisha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs k lie aadhi raat tak rehta he. Lakin jin lagoon ko koi uzur(majbori) ho maslan bhool janaay ki wajah se ya neend ya haiz ya in jessay dosray umoor ki wajah se aadhi raat se pahle namaz na parh sake hoon to un k lie maghrib aur eisha ki namaz ka waqt taloay fajr tak baqi rehta he. 2)Agar koi shakhs ikhtiyari halat me maghrib aur eisha ki namaz aadhi raat tak na parhey to ethiyaat e wajib ki bina per zurari he k azaan e subah se pahle qaza aur ada ki niyat kiay baghair in namazoon ko parhay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 724 , 727). 3) Adhi raat, ghroob e aftab se se talooa e fajar tak ki muddat ke nisf ko kaha ja sakhta he. Missal k tor per agar sham ko 7 bajay suraj doob jey aur subah k 4 bajay talooa e fajar ho to raat 11:30 bajay adhi raat ho gi. (ref : Jaded fiqhi masayl masla # 82 , pg # 74)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.