Answer |
Agar koi shaks apni qaza namazo ki tadaad nah janta ho ya bhool gaya ho maslan ye na janta ho k qaza namazain 3 thi ya 4 ya 5 tou chotay adad k hisab sy(yani 3 namazain) parh le tou kafi hai laikin behtr hai k itni namazain parhay k usay yaqeen hojaey k us nay sari qaza namzain parh li hain. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1364). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |