Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question zawal k oqat konse hen or in oqat me ibadat krna q mana he..zawal k oqat ki nishani kya he... 
Answer zohor aur asar ki namaz ka waqt zawaal k baad se goroob aftaf tak hai .zahor sharhi ka matlab hai aadha din ghuzarna. maslan agar din 12 hours ka ho to suraj nikalne k 6 hours k baad zahor sharhe ka waqt ho gha aur agar 13 hours ka ho to tolo aftab k 6(1/2) hours baad zahor sharhi ka waqt hoga. ZOhar sharhi jo k tuloob aftab se goroob aftaf k darmiaan (1/2) waqt ghuzalne k naam hai. Karachi k ufaq (latitude) k mutabiq kabhi dopahar 12(1/2) baje se khuch phele aur kabhi is k khuch baad me hota hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #720,pg:123 ) Zahor k waqt beghair kisi waja k mustahab namaz perhna makroo hai.yani haram nahe hai. (ref: sharhe lumha ,Shaheed-e- Awwal jild 1, kitab salah pg: 87).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.