Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question assala ailikum,janab mera masla Yeh hay k mera roza mein stomach mein gasses ka bohut shadeed derd utha aur mere zaban aur halq bilkul khusk ho gaie.aur poora jism dhanda per geya.vomiting bhe ho gaie .2 gante bardasht keya laikin Jub na qable bardasht ho geya to roza 11 baje say phele toor deya aur pani pee leya laikin poore din kuch khaya nahe.mein suger patient bhe hoon8.ab masla Yeh hay k KIA mujhe is roza ka qaza rukhne ho ga ya kaffara bhe ADA kurna ho ga.aur woh KIA ho ga . 
Answer Agar rozedaar ko itne payaas lage k ise payaas se marjane ka khof ho ya ise nuqsaan ka andesha ho ya itne sakte uthani pare jo is k lye naqable bardash ho to itna pane pisakta hai k in umoor ka khof katam ho jaay balke agar mout aur is jise chease ka khof ho to pani pina wajib hai .laikin is ka roza batil ho jaay gha aur agar ramzaan ho to ehteyate lazim ki bina per zarore hai k is se ziyada pani na piye aur din k baqi hissa me wo kaam karne se parhaaz kare jis se roza batil ho jata hai. (Laikin ramdan k baad aghle ramzaan se phele is roze ki qaza zarore hai)(Ref: Ayatullah Sistani (d.b), Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1562,1675) Jis shaks k lye roza rakhna shadeed takleef ka baais ho is per roza rakhna wajib nahe hai laikin zarori hai khar roze k badle 750 gram gandom ya roti waghera faqeer Agar kohi bemari ki waja se ramzaan k roze na rakhe aur us ki bemari aainza ramzaan tak lambi ho jaay to jo roze us ne na rakhe ho un ki qaza wajib nahe hai aur zarori hai k har roze k leye 750 gram gandom ya roti waghera faqeer de. Agar insaan ka maraz chand saal lamba ho jaay to zarori hai k tandorus ho jane k baad aakhari ramzaan k chutey hohe rozo ki qaza baja lahe aur is se phele saloo k mahino k har din k leye750 gram gandom ya roti waghera faqeer de . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1696, 1674,1678 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.