Answer |
Jis shakhs nai apni yomia namazain in k waqt main a parhi hon to zarori hai k in ki qaza baja laye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1356)
Misaal k tour per agar kise ki chnd subah ki namaze ya chnd zohar ki namaze qaza hogai ho aur wo in ki tadad na janta ho ya bhool gaya ho maslan ya na janta ho k wo 3,4 ya 5 to agar wo chhote adad k hisab se perh le to kafi hai.lekin behter ya hai k itni namaze perhe k ise yaqeen ho jaay k sari qaza namaze perh le hai.maslan agar wo bhool ghya ho k is ki kitni namaze qaza hoye thi or use yaqeen ho k 10 se ziyada na thi to ehtiyatan subah ki 10 namaze perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1364 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).Albatta jis namaz ka apne zikr kiya aysi koi namaz sabit nahi hai k jisko ada krne se 700 saal qaza shuda namazen ada hojaen. ( Ref: Official site of Ayat_ul_Sistani www.sistani.org )
|