Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalamualikum mjy ye pochna tha k jamat k sath namaz prhty howy 2 rakat m imam sab sorha fiatiha prty hn nd khali rakat m kia humin surah fatiha prhni chaye k ni m n yahan bht s logon ko dekha hy jo k kisi b namaz ki khali rakat m surah faiha prhty hn  
Answer Agar koi shakhs namaz jamat ki dusre (2) rakat shamil ho to usk liye surah alhamd aur surah parhna zarori nahi albatta qunoot or tashahud imam e jamat k sath parhe aur ehtiyat ye hai k tashahud parhte waqt hatho ki ungliyan aur paaon k talwe ka agla hissa zameen per rakhe aur ghutne othale aur tashahud k bad zarori hai k imame jamat k sath khara ho jaay aur alhamd aur surah perhe aur agar surah k lye waqt na rakhta ho to alhamd ko tamam kare aur ruku me imam jamat k sath mil jaay aur agar pure surah alhamd khatam karne ka waqt na ho to alhamd ko adhora chor kar imam jamat k sath ruku me shamil ho sakta hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1420) agar koi shakhs namaz jamat ki tisre (3) ya chouti(4) rakat me qiyaam ki halat me hone k waqt iqteda kare to zarori hai k alhamad aur surah parhe aur agar surah perhne k lye waqt na ho to zarori hai k alhamad tamaam kare aur ruku me imam jamat k sath shamil ho jaay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1423)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.