Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullha janab shestaini sabh 
Question Assalam-ale-kum. Janab me yeh pouch na chahta ho ke Allha ke Noor se Janab-e-Rasool Khuda s.a.w.w ko khalk kiya hai mujhe isko Quran se sabit kriye. 
Answer wssalam o alykum, Quraan e Majeed sura e hasher ki aayat no 7 main farmaata hai ke Rasool tuhmain jis cheez ka hokum dain us ko mano or jis se mana karain us se ruk jaao, or mutawater hadees hadees e saqlain main AP (s.a.w) ne farmaya ke jis ka mafhoom ye hai ke main tumare dermiyaan do(2)essi cheezian choor raha hon ke ik dosere se juda nahi hon gi, or wo Quraan o Ehl e bait(a.s) hain, agr tum in dono (ik se nahi balke dono se) se mutamassik (un k aqeede pr or mazhab pr mazbuti se qaaim rehna) raho ge to gumraaha nahi ho gai, pas in se ye natija nikalta hai Quraan ko sahi samjne ka tareqa Masoom(a.s) ki mojoodgi main us se Is ka matlab pochna or Un ki gebat main ese ehl e ilm se (jo Quraan or Un hazraat ki hadeso ko mila kar samjne ki salahiyat rakhta ho) Quraan ke matlab ke bare main pochna.(Ref : Ali(a.s)khalefah ul Rasool , muallif # janaam faqar ul al-deen musvi , mutarajjim 3 Muhammad saleem alavi , fasal # 2 , pg # 138). Jesa ke wazi ho gaya ke Quraan ko sahi samjna Masoom (a.s) ke qool ke samajne per moqoof hai or ager hum usool e kafi jild 1 main kitaab e al-aqal o al-jehal ki riwayat no 14 or baab no 100 ki riwayat no 4, or baab no 151 ki riwayat no 2 ko milate hai to pate hai ke ye natija deti hai ke ALLAH TAALA ne her cheez ke khal karne se pehle Ap(s.a.w) ko Apne nor e azmat se khal kiya.(Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e aqal o jehal , riwayat # 14 : kitaab e al-hujjah , baab # 100 , riwayat # 4 : baab #151 , riwayat # 02 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.