Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Shadi 
Question Asslamualekum Mera Q. 1 Kiya Do bhehno ki shadi Do bhayyo Se Ho sakti h 2 Agar Ladki Ladke Se 8 ya 10 saal Choothi ho To Nikha Ho Sakta h 3 Agar Ladki ki pasad Me Koi ladka h To Wo Apni Marzi Se Nikha Ker Sakti h 4 agar ladki Ladke Ke Beach Mohabbat Ho Jaye To Wo Nikha Se Pehle Mulakat Ker sakte h Ya Phon per Baat Ker Sakte h 4 aur Ladka Ladki Shadi Ke Liye Razi ho Unke Maa Baap Raazi Na Ho To Kiya Kerna Chahye in Sawwalo Hal Bhi Btana Ke Kiya Jayaz H Kiya Nahi  
Answer 1) Gee haan, ye jaiz hay k 1 bhai 1 lerki se shadi karay or dosra bhai os lerki ki behen se shadi karay. (Ref: A.sistani, Minhaj_ul_salihreen,part#3,msla#90,91,92) 2) Gee haan, bilkul nikah hoskta hai umar ki koi shart nahi hai albatta agar us larki ki umar 9 saal se kam hai to us k sath jimaa(humbisatri) kerna haram hai 9 saal ya us k baad koe haraj nahi.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#2374) 3) Gee nahi, apne baap ya dada ki merzi k bagher kanwari larki kisi se shadi nahi ker sakti.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#2340) 4)_Gee nahi jab tak wo lerki bivi nahi ban jati tab tak aap ka larki se milna or phone per baat kerna agar lazzat k irade or haram men parhne ka khoof ho to haram hai .(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#2397) 5)_Larkay k liye walden se poochna zarori nahi hai albatta wo kunwari baligh larki jo rashida ho(yani apna bura bhala samjh sakti ho) agar wo shadi kerna chahay or apni zinadagi k umoor khud mukhtari se anjaam nah daiti ho tu osay chahiay k apnay baap ya dada se ijazat lay, balkeh ehtiyaat e wajib ki bina per yehi hokum os k liay bhi hay jo khud mukhtari se apni zindagi k kamo ko anjaam daiti ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#2340). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.