Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name mani ka nikalna 
Question sir mera ya sawal ha ka rozay ka ander ager hath use kiya bagir kisi or tareeqa sa mani ka nikal jay to is sa roza par kiya farq parta ha . . ? ager kisi ko ilm na ho to is ka bary main kiya hukm ha ? 
Answer 1-Mani ka nikalna roze ko batil kerta hai. Bas agar insan jan bojh ker or apne ikhtiyar k sath mani nikale to uska roza batil hojata hai or isko is roze ki qaza or kaffar bhi dena parhega, or agr wo jaan boojh ker mani nah nikale to phir koi haraj nahi hai. Or agar insan ye nah jaanta ho k mani k nikalne se roza batil ho jata hai or is k baare main maloomat hasil kerne men kotahi(susti) nah ki ho to phir iska roza batil nahi hoga. Lekin agr ye kisi se maloomat hasil kerskta tha or susti or kotahi kerne ki wajah se is ne kisi se maloom nah kiya to phir is ka roza batil hojaye ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msal#1625). 2- Agar koe mubtilaat e rozay(masla istimna) ko anjaam day or osay pukhta yaqeen ho k is amal se roza batil nahi hoga tu os per kaffara wajib nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1630). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.