Answer |
Zaroori hay k talaq ka alfazaat arabi men parhe jaen or 2 Aadil afraad wahan mojood hon jo un talaq k alfazat ko sunen , chahe mard khud talaq de raha ho ya wo kisi apna wakeel banaye talaq dene k liye, or agr mard arabi men talaq ka seegha nah parh sakta ho or wakeel bhi nah bana sake to wo jis zaban men chahe us lafz k zariye talaq de sakta hai jo talaq k arabi lafz ki hi matlab rakhta hay. agar koi shakhs oaraat ko mahwari se paak samjhte hue talaq dede to or baad men pata chale k wo mahwari ki halat men thi to uski talaq sahi nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33st edition, maslah #2471-2465) |