Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam alaikum maine ak talak diya hai . wapis mai apni biwi ko apne haq me rakhna chahta hu . kya rujoo wajib hai ? ye rujoo kya hota ? iska matlab kya hota our rujoo kaise kiya jata hai ? 
Answer Talaq ki khuch sharait hen, agar aap 1 talaq de chuke hen apni biwi ko to teesray haiz aanay se pehlay aap apni biwi se agar ruju kerna chahtay hain tu ker sakte hen bagher nikah k albatta agar tesray haiz aa jay tu phir ap dubara nikah ker saktay hain. Note: Ruju ka matlab hai dubara biwi ko apnana or us se dubara relationship rakhna or ruju 2 tareekon se kiya ja sakta hai 1)shohor aysi batain kare k jin se pata chale k usne usay dubara apni biwi bana liya hai. 2) koe kam kare or us kaam se ruju kerne ka irada kare or jimaa(humbistary) kerne se ruju sabit hojata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, 33rd edition,msla#2488). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.