Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Education Masail 
Question ASSALAM U ALAIKUM Warahmatullahi Wabarakatohu,(1) problem-Maine B.H.M.S 1st year me ADMISSION Liya hu.Kya homoeopathic degree hasil karna ISLAMICALLY Jayaz hai agar nahi to main is course ko INSHAALLAH Chhordunga..kyoki yha pharmacy subject me alchohol se medicine preparation sikhaya jata hai aur bina alchohol homeopathy incomplete hai.dusri problem ki anatomy class me human body ki dissection hoti hai aur bhut sari baat shariat k khilaf hoti kya apne course ko continue karna sahi hai ya chhorna sahi hai.(HAFIZUR RAHMAN,ASANSOL,WESTBENGAL,B.Sc[chemistry honors] & currently studying AT 1st professional B.H.M.S in NATIONAL INSTITUTE OF HOMOEOPATHY,kolkata.m,bhut bari ilteza hai is problem se aasani me madad karne ki (2)treatment karna gair mahram ko kya jayz hai bina parda k jo aaj kal hota hai (3)problem-Meri nikah ho chuki hai ek yatim larki se lekin garib hone k wajah se mere adoptive father ne kubul nahi kiya(mujhe god liya gaya tha 6 mhine ki umar me),is liye apne mayke me rah rahi hai,kya main use yhi rkh kar B.H.M.S Complete karne ja skta hu. 
Answer (1) Homoeopathic course seekhne men koi maslah nahi h q k alcohol ki tamaam aqsam chahe unhen lakrhi se banaya gaya ho ya kisi or chiz se paak hen, layhaza wo tamaam dawaen, itar or khane peene ki cheezen jin men alcohol shamil ho pak hen. Bas is sorat men aap k homeopathic k course seekhne men koi haraj nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jdeed Fiqfi Msaa`il,page#58). (2) Anatomy course men ek maslah nigah k ehkam k hawale se ata hai k agar wo human body agar mard ki ho to us k sharmgaah ki taraf dekhna haram hai baaqi badan men dekhne men haraj nahi, or agar wo body aurat ki ho to us k chehre or hath kalaiyon tak to dekhne men koi maslah nahi is k alawa aurat k jism or us k balon ki taraf nigah kerna haram hay, lehaza is course men aap ko mushkilat derpesh hoskti hen, bas agar is course k seekhne k baad aap ko yaqeen h k future men aap kisi ki jaan bachaane ka karenge to haraj nahi hai, lekin agar aap ko aysa yaqeen nahi hai to is soorat men aap ka anatomy k course seekhne men jaiz nahi hoga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#2397) (3) Agar aap ka us larki se nikah ho chukka hai or us larki k walid ki ijazat bhi hai to ye nikah sahi hai aap ka apne walid se ijazat lena zaruri nahi hai, or aap ki wife ka apne meyke men rehne men bhi masla nahi hai magar uska khana peena, libaas, rehaish or zindgi ki baqi zarooriyaat ka intezam kerna shohar per wajib hai,or aap course k liay bhi jaskte hen unhen wahan chorh ker magar ek sahrt ye hay k aap 4 mahine se ziyada arsa apni jawan wife k sath humbistari kerna chorh nahi sakte siwaay ye k agar aap ki wife is per razi hon to phir koi maslah nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,msla#2376-2382). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.