Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name islam 
Question assalamualaikum mera sawaal yeh hai ke kya hum rozay ki halat mai agar kuch gandi video dekhle jiski waje se napaki ho to roza toot gaye ga ya nahi 
Answer 1)Istimna(masturbation) roze ko batil(torne) kerne wali chizon men se hai lekin agr apko pata nahi tha k istmna se roza toot jata hai or ye baat poochhne men ya in masaail ko jan`ne men apne susti or kotahi bhi nahi ki thi or aap istimna k bare men shak or preshani men mubtila bhi nahi the (k aya is se roza toot jata hai ya nahi), ya ap kisi sharae hujjat pr etemaad rakhte thay agr ye tamaam baaten aap k ander mojood hon to phir is surat men apka roza batil nahi hoga lekin is k bar-aks agr apko pta tha ya phir apne puchhne men susti ki ya apko is bare men shak tha k ye roze ko torh daiti hai ya nahi ya phir ap kisi sharaee hujjat per etemaad bhi nhi rkhte the to is soorat men apka roza batil hoga, 2)Ehtelam jis ka matlab hai neend men mani ka nikal jana(discharge), is se roza batil nahi hota agrche apko pta bhi ho k agar aap din men sogaye to apko ehtalam hojayega tab bhi ap k liye sona jaiz hai chahe aap ko sone ki wajah se koi takleef nah bhi ho tab bhi aap k liye sona jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masail 31st edition, maslah#1553-16225). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.