Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name wazo or nimaz 
Question asalam..mara ek masla ha jab ma fresh wazo kar lon to ma jab nimaz ada krta hn to pait sa hlqise hawa nikal jati ha ...baz oqat wazo k bd ma jab jamat k 7 nimaz parhon to phr b asa hota ha mery 7...or nimaz ma kahen bar ho jata ha...kya is waja sa nimaz maqroh ha???? 
Answer Agar kisi shaks ko paishab ya pakhana ya riyah(gas) baar baar youn aata ho k osay wuzu ker k namaz ka khuch hissa perhne ki bhi muhlat nah milti ho tu oska aik wuzu chand namazo k liay bhi kaafi hay.siwaay is k koe or aisi cheez paish ajaay jis se wuzu batil hota hay. Maslan wo so jay ya os ka paishab o pakhana tabi,ee andaaz se mamool k mutabiq kharij ho. Albattah behter ye hay k har namaz k liay aik baar wuzu karay Laikin qaza sajday, qaza tashahud or namaz e ehtiyaat k liay dosra wuzu zarori nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 308,314) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) Note: 1-Aap ko mashwara hay k aap kisi achay doctor se apna ilaaj kerwain. Or is beemari se nijaat hasil karain. 2-Aap namaz perhne se pehlay peshab o pakhana se farigh honay ki koshish kia karain, Q k baaz auqaat paishab or pakhana rookne se bhi gas ki beemari hojati hay. 3- Aap khana khoob chaba ker khaya karain. Takeh khana sahi tariqay se hazam ho or aap ko gas ka maslah nah ho.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.