Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name hanfi 
Question hormayri walida mayri bivi kay olad na honay ki waja say or zati larai jhagroon ki wajah say us ko ghar lanay ki ejazat nahi day rahi agar main aysa karta hoon to woh ghar chor kar janay ki dhamki dayti hain poori family main mayra jo ko saath dayta hay mayri walida us say taalaqi ki dhamki dayti hain main kaya karoon  
Answer Is web per Fiqh jaffarya k jawabat diye jate hen. Aap ki walida ka koi haq nahi hai biwi per Q k shohar aap hen, or apne shadi ki hai to biwi k kuch hoqooq hote hen, uski ghiza, libaas, rehaish or zindagi ki baqi zaroriyaat ka intezam kerna aap per wajib hai agr aap ye chizen mohiya na karenge to chahe aap aysa kerne per qudrat rakhte hon ya nahi rakhte hon ap apni bwi k maqrooz honge, isi tarh oarat k huqooq men se ek ye bhi haq hai q mard use aziyat or azaar nah puhnchaye or kisi sharaee wajah k bagher us k sath sakhti or tez lehje se pesh na aye.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeeh-ul-masail 31st edition, maslah#2376). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.