Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah al sistani d.b 
Question salam janab e aali mera sawal ye hai k..agar baraf ki silli yani chote ye bade tukde jo k mahe ramazan me masjid me pani ko thanda karne k lye laya jata hai agar koi kafir usko choole aor usko pak kar lya jaye to kya wo paak ho jayega?zahir hai k baraf jama hua hota hai ab hame nehi maloom k najasat uske andar sarayat karti hai nehi,lehaza baraye mehrbani jald se jald masle se aagah farmayen..take logon ko najasat se roka ja sake. wassalam 
Answer Agar baraf sakhti se jami hoe ho or aap ne us ko doosre tokrhoon se alag hata ker paak ker liya ho to is surat men baraf paak ho jayegi or sarayat is surat main mumkin nahi hay, albtta agar baraf kachi jami hoe ho or kafir k jism se takrane k baad us k oper wale hisse ka pani pigal ker baraf k andar jane ka imkaan mojood ho to sirf oper wala hissa hata deenge or agar is baat ka imkaan ho oper wali baraf pigal ker neeche ja chuki hogi to is surat men zahir hai k is paak kerna bhi mumkin nahi to ye maya(liquid) cheezon men shumaar ho jaye ga Q k qanoon ye hai agar kisi cheez ki surat ye ho k agar us k oper se kuch miqdaar nikaali jaay to uski jaga khali nah rahe to jese hi wo zarra barabr bhi najis hoga sara najis hojaye ga lekin agr uski surat aysi ho k agr us ki oper se kuch miqdar nikali jaye to uski jaga khali rahe to agarche kuch der baad wo jaga pur hi Q nah hojaye to sirf wohi hissa najis hoga jise nijasat lagi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #123). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.