Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name roza 
Question agar sehri time jag late ay yani roza bend honay k 15 mint bad or kush bhi khay piay bagar neat ker li jay to kia roza ho jay ga. 
Answer Jo shakhs ramzan k rozon or isi tarah wajib rozon men jin k din moyan hen roze ki niyat k bagher sojaye or sehri men na uth paye lekin zuhur ki azaan se pehle pehle uth jaye or roze ki niyat kerle to uska roza sahi hai albtta agar azaane-zuhr k bad uthe to zaruri hia k ehtiyaat kerte hue qurbat mutlaqa ki niyat se baqi din khud ko roza batil kerne wali chizon se bachaye or us din k roze ki qaza bhi baja laye, lekin agr wo raat ko niyat kerte hue sajaye is irade se k subah roza rakhega or phir sehri per n uth paye to phir wo din ko kisi nahi waqt uthe uska roza sahi hia. Lehaza ap ka roza sahi hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1535). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.