Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name AAGH SISTANI 
Question SALAM... Agha sahab mre sawal ye hai k mre shoher ka intaqal ho gaya hai or unki sirf aik hi beti hai jo 15 mah ki hai mujhy ye bata dain k un ki jaidad may mra yani unki biwi ka or un ki beti ka or un k walid ka kitna hissa banta hai or un ki walida bhi hain lakin wo sotali hain to unka bhi koi hisa banta hai or kia un k bhaiyon ka bhi hisa hoga is may mujhy tafseel say bata hain k kis ka kitna hisa banta hai 
Answer Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko 1/8th (aathwaan) hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/8th mile ga, or baqi jaidad dusre afrad ki taraf taqseem hogi, Matlab aap ko aap k shohar k maal men se 1/8th (aathwan) hissa milega or baqi jaidaad k 4 hisse honge jis men se 1 hissa merhoom k walid matlab aap k susar or baqi 3 hisse merhoom ki beti k honge, or soteli maa ko koe hissa nahi milega. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Update on dated 04-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.