Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani 
Question AssalamoAlikum, Mera sawal yeh hai k kia Ghair Fiqh Larki/Larkay(Sunni) kay saath shaadi ki ja sakti hai..? Is mauzooh per Hamaray AAIMA TAHIREEN (A.S.W.S) Ka kia irshaad hai..? Aur agar shadi se pehle koi physical relationship raha ho to kia woh rishta haram hai..?  
Answer 1)Muslmaan muslman say shadi ker sakta hai chahay lerka shia ho aur lerki sunni ho ya larka sunni ho aur larki shia ho is say koi faraq nahi parta. Al-batta baaz afraad jo ehlabait a.s say dushmani rakhtay hain aur apnay aap ko muslmaan samjhtay hain,wo kafir hain aur un say shadi nahi ho sakti.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #103,2362,3241) 2)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.