Answer |
jumma ki 14 shariat nahi hein. Juma ki namaz k sahi honay ki chand shartain hein :
1) Juma ki namaz ka baa jammat perhna zarori he. Juma ki namaz parhnay waloon ki tadat jo k imam k saath 5 afraad ho. aur jab tak 5 afrad jema na hoon jumma ki namaz wajib nahi hoti.
2) Namaz e juma se pehle 2 khutbey perhain jay.
3) Juma ki 2 namazoon k dermiyaan aik farsakh se kam ka fasla na ho.
(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 720) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|