Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Is smoking allowed according to ayatullah Sistani??? 
Answer 1)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi barhay nuqsaan ka khatra na ho, agarchah kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 2) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.