Answer |
Maghrib aur isha ki namaz ka waqt ikhtiyari halat men kisi shaks k lye aadhe raat tak rehta hai laikin jin lougo ko kohe ( sharhe) majbori ho masalan bhool jane ki waja se ya neend ya haiz ya in jise dosere majburi ki waja se aadhe raat se phele namaz na perhsakhe to in k lye magrib aur isha ki namaz ka waqt fajar tolu hone tak baqi rehta hai laikin in dono namazo k darmian mutawajo hone ki surat me tarteeb zarori hai yani isha ki namaz ko jaanbouch kar maqrib ki namaz se phele perhe to batil hai laikin isha ki namaz ada karne ki miqdaar se ziyada waqt baqi na raha ho to is surat me lazim hai k isha ki namaz ko maqrib ki namaz se phele perhe.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 724 (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |