Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question AAO Mera eik pota meray first cousin say hei. wo sirf ekaila hey baqi tamam es dunya say ja chukay hein. Abao ajdad kay puranay ghar may rehta hei. Halia baroshun mein us ka gar gir gia hey. wo koi kam be khas naihin karta. malooom karna chahata hoon key kia hum Zakat (fee sabeel lilla ) say us makan ko tameer kar saktay hein. Thanks 
Answer zakat fi sabeelillaha yani wo kaam jin ka faida tamaam musalmano ko pouchta hai maslan masjid banana ,aisa madarsa tamer karna jaha dine taleem de jati ho ,shahar (city) ki safai karna ,sarkho ko pukhta banana aur inhe chora karna aur inhe jise dosere kaam karna, laikin in jaghaho me zakat kharach karne se phele ehteyate lazim ki bina per mujtahid se ijazt lena zarori hai. Laikin zakat k maal faqeer ko de skte hai. faqeer wo shaks hai jis k paas apne aur apne ahal o ayaal k leye saal bahar k akhrajaat na ho . laikin jis k paas kohe hunar ya jaidaad ya sarmaya ho jis se wo apne saal bahar k akhrajaat pure kar sakta ho wo faqeer nahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1889 ) Jis faqeer ko zakaat de jaay wo 12 imami hia hona chaiay , ehteyat wajib ki bina per wo sharabi naho , benamaze na ho aur khullam kulla ghuna karne wala na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1906,1909 ) Jin louqo ka karcha kise per wajib ho wo insaan in louqo( maslan mah baab, aulaad, daimi biwi, ehteyat wajib ki nina per dada , dadi , nana nani,chay ye silsila kitna he upper kyu na chale jaay , aulaad ki aulaad chay ye silsila kitna he niche kyu na chalay jaaymaslan pota pote, nawasa nawasi )k karcha zakaat se ada nahe karsakta . (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 1607, edition1145) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.