Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name asdas 
Question asdasd 
Answer 1)Nikah chahay daimi ho ya ghair daimi(yani muta) is main seeghah (nikah k bool) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2328+2335) Agar merd or aurat khud ghair daimi nikah(muta) ka seegah perhna chahain to, nikah ki muddat aur meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی فی المدۃ المعلومۃ علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee fil muddatil ma’loomati alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2334). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.