Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam-o-alikum Mere leya aik rishta aya tha or mjhe wo ladka pasnd nai aya meri maa janti thi per mjh se pocha nai abi or wo us ladke k bare me pata karwane me lag gae unho ne ha bol di phr mere baap ne kaha k wo faisal do haftey bad batayen ge or mjhe andaza tha k mere ghar wale ha bolen ge rishta k leya ya mangni kAren ge per wo direct nikah fix kar aye next haftey ka or me ais intezar me the k mjh se meri ijazat pochen ge per kisi ne nai pocha jab wo nikah fix kar aye tu me b kuch na keh saki k un ki izat ka sawal ha akhir mene nikah k roz bol dia k ha qabol ha per mera sawal ha k meri razamandi shamil nai thi tu kia ye nikah hua ya nai ? Abi rukhsati nai hui per mjh se ye rishta b nibhaya nai ja rha q k mjhe ye insan pasand nai pehle hi din se plz jawab dail jaldi  
Answer Agr ap nikah se razi nahi to nikah sahi nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335).Update on dated 02-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.