Answer |
Agar pani ko garam ker k ghusl kerna mumkin ho tu pani garam ker k ghusl karay. Laikin agar ye mumkin nah ho or pani istemaal karna aisay harj-o-mushakkat ka baa`is ho jisay aam tor par bardasht nahi kiya jata to wo tayammum kar sakta hay laikin agar wo mushaqqat bardasht kertay hoay ghusl karlay to is ka ghusl sahi ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #+659+663). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |