Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ali sastani 
Question kia is site pa mujthd jawab data han agar han hai to mujhe imam a.s sa sawal pochna hai aur wo ya k mere maa bap ne jurm kia tha mant mang k. allh onhe panjtan pak k sadqe beta da aur dana k bad ab tak thokre khla rha hai. aur Sunday k din sorah muzamil likhne sa jado khtm nai hota 3 din k liye ruk jata hai. jawab dana na dana ap ki marzi hai. qu k man ne bht sawal kiye hai reply 1 ka aya 
Answer Ali ibn e Abi Talib(a.s) ke farzando main se 12, or Imaam e Husain (a.s) main se 9 farzand, jo Rasool Allah (s.a.w)ke ham naam, aj ke door main Allah Taala ki maklook per us ki hujjat, jin ke walid ka Ism e Mubarak Hasan Askari (a.s), jin ke liye Allah Taala ne in ki wiladat ke baad 2 geebatain muqarrar farmaae, or dono ki kososiyatoo main se kososiyat ye ke geebat e Sugra main Ap (a.s) ne Apne or Apne shiaoo ke darmiyaan raabte ke liye chand Afraad ko chuna, jo 4 the, jin ke aakri Ali ibn e Muhammad Al-Sumree the, lekin geebat Kubra main ye Rabita e Zahiri muqate hai, pas is door main Mujtahid Imaam e Zamana (a.s) se masala maloom kar ke ap loogoo tak nahi ponhchata, balke saloo koshish ke baad peda hone wale Malake ke zere nazar Hukum batata hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 3 , sawaal # 194 , pg # 82) , (Ref : Jamaal e Muntazar , fasal # 1 , baab # 7 , riwayat # 1 , pg # 161 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.