Answer |
Jis aurat ki umar pure 9 saal hochuki ho or wo yaaisa bhi na hon, or os k shohar os se hambistry ki ho to talaq ki surat men os per iddat wajib hai, is surat men agar 2 haiz ka darmiyani fasla 3 mahino se kam hai to talaq k bad jab bhi ap ko 3 dafa haiz aye to os ki idat khatam hojaye gi.(matlb talaq k bad teesra haiz aate hi apki iddat ka waqt khatam ho jata hai) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2482). Update on dated 25-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |