Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agha sestani 
Question Aoa. My question is Ehd or mannat main kia farq hai. Kia dono k liya zaban sai seegha parna zaroori agr dil main sirf niyat ho k falan kaam ho to falan kaam kroon ga to kia yeh sahi hai(yeh mannat hai ya ehd)? and dono ka kafara kia hai? Agr manat ya ehd poora krna thora sa mushkil ho(na mumkin na ho) kia iss soorat main wo kaam na kia jae or uss ki jaga kafara diya ja skta hai? 
Answer Nazar ya Mannat ye hai k insan apne ap wajib krle k Allah ta`ala ki riza k liye koi acha kam krega ya koi aysa kam krna chhordega jiska na krna behtr ho, Ahad ye hai jab koi shakhs Allah se ahad kre k jab uski koi mo`ayyan sharaee hajat puri hojayegi to wo fulan kam krega.(Zahiri tor per amal k lihaz se in dono men koi faraq nahi hai bus dono ki kefiat men faraq hai), Albatta In dono men seegha parhna zaruri hai. Or Isi tarah dono per amal na krne ki surat men kaffar bhi dena zaruri hoga Or dono ka kaffar ka ye hai k 60 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaye ya phir 2 mahine musalsal roze rakhe.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2603-2630-2631-2632). Update on dated 30-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.