Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question my question is when a namazi prays alone and he/sha admitts sajda sahwa how he will perform sajda sahwa kindly answer in detail jaza k allah  
Answer 1) Sajda-e-Sahw ka tareeqa ye hay k Namaz k Salam k baad foran Sajda-e-Sahw ki Niyyat Karain aur ehtiyaat ki bina par kisi aisi cheez par paishaani rakhain jis par Sajda karna Sahih ho.aur ehtiyaat-e-Mustahab hay k Sajda-e-Sahw main Zikr Parhain aur Behtar hay k ye kahain "Bismillahi wa billaah, Assalaam o Alaika Ayuhannabee’u warahmatullahi wabarakaatuh" is k baad usay chahiye k baith jae aur dobara sajday main jaay aur pehlay wala Zikr parhain aur baith jaain phir Tashahud parhnay k baad kharhay " Assalaamo Alaikum " aur behtar ye hay k warahmatullahi wabarakaatuh ka Izaafa karain. 2) Wo Maqamaat jahaan Sajda e Sahw wajib hota hay :1:Tashahud bhool jana. 2: 4 rakaati Namaz main doosray sajday k doraan Shak karna k 4 rakatain parhi hain ya 5. In: 3: Ehtiyaat e wajib ki bina per namaz k baad Ijmaali tur per Ilm ho jaay k koe cheez kam ya ziada ho gae hay jab k Namaz sahi honay ka Hukum ho. 4: Ehtiyaat e wajib ki bina per Namaz ki Halat main bhoolay say baat karna.5: Ehtiyaat e wajib ki bina per Jahan Salaam na parhna zaroori ho maslan pehli rakat, wahan bhoolay say salam parh lena. Ref: Tauzeehul Masail (A.Sistani) Masala 1237,1223.)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.